Friday 23 May 2014

'Heropanti' disappoints....

Sajid Nadiadwala produced aur Shabir Khan directed Heropanti  Haryana ke honour killings ki kahani hain.

Jaat biradri ke mukhiya Prakash Raj ki badi beti shaadi ke mandap se bhaag jaati hain.

Bhaagi hui ladki ki talash mein Prakash Raj aur uska pariwar sainkdo laashe bichane ko taiyaar ho jaate hain.

Kuch ke saath khoon kharaba karte hain, aur kuch ko ghar par bandi bana lete hain.
Iss tannav bharre vatavaran mein chupke se palti hain ek aur prem kahani…

Dimpy yaane Kirti Sanon aur Babloo yaane Tiger Shroff ki…!!

Film ka subject/treatment old fashioned hain aur second half unduly overstretched bhi.

Film ka music below average hain aur characterizations unrealistic -Aisa gaon  jahan ladkiyon ko bezuban mana jaata hain, film ki heroine buzurgo ke samne  kamar dikhati ghumti hain.

Film ka plus Anal Arasu ke stunts, film ka message aur debutant Tiger Shroff –jo pehli hi film mein action/ drama/ romance/ dance/ sab kuch karta hain!

Heropanti ko Big Entertainment Ratings milte hain 2 stars.

Reviews by Bhawana Somaaya

No comments:

Post a Comment