Friday 23 May 2014

'Kochadaiyaan' shines!

Eros International produced aur Soundarya Rajnikanth directed Kochadaiyaan bade maharaja aur bahdaur senapatiyon ki kahani hain.

Ek chotta bacha, raat ke andhere mein, toofani samandar mein kood jaata hain…


Kismet usse nayi manzil tak pohchati hain aur uska apna junoon, usse bada hokar, uss nagri ka senapati banata hain!

Aisi raja-mahrajaon ki kahaniyaan humne bachpan mein bohat padhi hain magar writer KS Ravikumar ki iss sadharan kahani ko asadharan banati hain film ki animation aur technical team!

Film ka sound, stunts, choreography, costumes aakarshak hain  khaas taurpe Ravi Menon ki cinematography aur AR Rahman ka music.

South stars Shobhana  aur Nasser ke alava ismein hain Rajkumari Vandana ki bhumika mein Deepika Padukone aur apna charishma dikhate hue ek nahi do Rajnikanth.

Jiss tarha se cinema pehle Silent aur Black & White thi aur aage chalkar Talkie aur Color bani, ussi tarha se animation filmein bhi, pehle 2D phir 3D aur Hollywood filmAvataar ke baad nayi technology ka prayog kar rahi hain.

Ismein ghodde udte hain…Paanchi tairte hain… aur deepika morr ke saath naachti hain…
Kayi bhashao mein release ki gayi Kochadaiyaan Hindustan ki pehli Photo Realistic Performance Capture film hain…

Ye shayad pehli Rajnikanth ki film hain jahan wo kya bolte hain ya kya karte hain se zyada kaise karte hain, zyada maine rakhta hain!

Director Soundarya Rajnikant ko, Indian cinema ke 101 ve saal mein,  iss naye prayog ke liye 
Kochadaiyaan ko Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.

Reviews by Bhawana Somaaya

No comments:

Post a Comment